Subse zyaada jannati banane wale aamaal -
IslamSearch IslamSearch
1M subscribers
5,810 views
0

 Published On Aug 21, 2022

Abu Malik Ashari (R.A) se riwayat hai ki RasoolAllah (Sallallahu alaihi wasallam) ne farmaya:

iss ummat mai se Allah ke behtreen bande wo hai ke jinhe dekh kar Allah subhanahu yaad aa jata hai , aur iss ummat ke badtareen log wo hain jo chugal khor hain aur jo dosto (ya muhabbat karne walo) ke beech mein judayee karwate hain aur jo bequsur (pak daman) logo par gunaho ka ilzam lagate hain #Jannati #Jannat #Neki #Nek #Allah #Gunah #AcheKaam #Aakhirat

Hadees: Abu Huraira (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ke,

Ek Shakhs ne arz kiya “Ya Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam)! Mere baaz rishtedar hai, Mai unsey taalluq jodta hoon wo Mujh se taalluq todtey hai, Mai unke Saath accha Salook karta hoon, wo mere Saath badsalooki karte hai. aur Mai unki ziyadtio ko bardasht karta hoon, Wo mere Saath jahalat se pesh aate hai.”

Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne irshad farmaya “Jaisa tum keh rahe ho agar aisa hi hai tou goya tum unke mooh me garam garam raakh jhonk rahe ho aur jab tak tum iss khoobi par qayam rahoge tumhare saath har waqt Allah Ta’ala ki taraf se ek madadgaar rahega.

Ibn Abbas r.a. ne bayan kiya ke Rasoolullah ﷺ ne farmaya mere samnay tamam Ummate paish ki gayi Ek ya Do Nabi apne bas kuch hi Ummat ke sath guzarte rahe aur baaz Nabi aise bhi the ke un ke sath koi nahi tha, aakhir mere samne ek badi bhaari jamaat aayi. Mein ne poocha ye log kaun hain, kya ye meri ummat ke log hain? Kaha gaya ke ye Moosa a.s. aur un ki qaum hai fir kaha gaya ke kinaroon ki taraf dekhye mein ne dekha ki ek bahut hi badi jamaat hai jo kinaro tak chhaai hui hai fir mujh se kaha gaya ke aasman ke mukhtalif kinaroon tak idhar aur udhar dekhye toh maine dekha ki ek jamaat hai jo tamam aasman tak chhaai hui hai. Kaha gaya ke ye Aap ki Ummat hai aur is me se Sattar Hazaar (70000) hisaab ke bagair Jannat me daakhil kar diye jayenge. Is ke baad Aap ﷺ (apne hujre me) tashreef le gaye aur kuch tafseel nahi farmayi.
Log (sahaba) is muamle ke baare me bahes karne lage aur kahne lage ke hum Allah par Eemaan laye hain aur us ke Rasool ki itteba ki, is liye hum hi (sahaba) woh log hain ya hamari woh aulaad hai jo Islam me paida hue kyunki hum jahiliat me paida hue the. Ye baate jab Huzoor e akram ﷺ ko maloom hui to Aap bahar tashreef laaye aur farmaya yeh woh log honge jo jhaad phoonk nahi karate, wo bad-shaguni ya acche shagun (shubh-ashubh) me yakeen nahi rakhte aur daag kar ke ilaaj nahi karte lekin wo apne Rab par bharosa karte hain. Is par Ukasha bin Muhsin r.a. ne arz kiya ya Rasoolullah! Kya mai bhi un mai se hu. Aap ﷺ ne farmaya, 'Haan'. Is ke baad dusre sahabi khade hue aur arz kiya ya Rasoolullah ﷺ ! Kya Mai bhi un mai se hu? Aap ﷺ ne farmaya ke Ukasha tum se baazi le gaya (yaani wo dusre sahabi is fazilat me shumar nahi hai). Sahih al-Bukhari, kitab al tibb (76), hadees- 5705.

Note: Jamia Tirmizi ki ek sahih hadees hai jisme ye likha hai ki har 1000 jo bina hisab-kitab ke Jannat me jayenge wo apne sath 70000 hazar logo ko bagair hisab-kitab Jannat lekar jayenge jo ki pure 49 Lakh log ho jaate hai - [Jamia Tirmizi, hadees-2437]. Aur wo wahi log honge jinme wo khususiyat hogi jo upar ki hadees me bayan ki gai hai. Unki khususiyat ki tafseel niche wazeh ki gai hai:

1. Wo jhaad-fuk na karwate ho.
2. Wo bad-shaguni ya achhe shagun me yakeen na rakhte ho (maslan billi rasta kaat jaye to us raste se jane ko galat samajhna aur isi tarha ke dusre khayaal).
3. Daag ke zarye ilaaj na karwate ho.
4. Rab par (hi) yakeen rakhte ho.

بی ﷺ کا فرمان کہ میری امت میں سے ستر ہزار افراد بغیر حساب کے جنت میں داخل ہوں گے۔

-----------------------------------------------------------------------------------------------------------
This is IslamSearch official youtube channel
-----------------------------------------------------------------------------------------------------------
✮ SUBSCRIBE: https://goo.gl/kB3MME
✮ WEBSITE: https://www.IslamSearch.org
✮ TWITTER:   / islamsearch  
✮ YOUTUBE:    / islamsearchorg  
✮ FACEBOOK:   / islamsearch.org  
-----------------------------------------------------------

show more

Share/Embed