Story of Prophet Nooh's life (Urdu) - Story of Prophet Nuh in Urdu - Qisas ul Anbiya - IslamSearch
IslamSearch IslamSearch
1M subscribers
896,428 views
0

 Published On Jun 30, 2014

Brief Life Story of Prophet Nuh (A.S.)
Prophet Nuh (AS) was one of the prophets sent from Allah(SWT) and a whole surah, Surah Nuh, has been dedicated to him. Allah(SWT) has praised Nuh (AS) in Quran as Grateful Servant of Allah” and “True Messenger of Allah.

Hazrat Nooh (Alaihay Salam) ki Nafarmaan Qaum ko Paani ke Zalzale ka Dardnak Azaab.

Allah Taala ne jis qoum ki taraf bhi jo paigambar bheja jiyada kar ke uss qaum ko uss paigambar ka hi naam diya. isiliye jis qaum ki taraf Nooh (Alaihay Salam) bheje gaye uss qoum ko, qoum-e-nooh kaha gayaa.

Hazrat nooh ki qaum boot-parasti me lagi huyee thi. Nooh (Alaihay Salam) ne taqreeban 900 ya 950 baras unke beech tableeg ki. allah ke deen ki taraf bulaaya. lekin unki qaum na maani. yahaa tak ki unki biwi aur ladka sab boot parasti me lage rahe.

Aakhir me thak-haar ke unhone rab ki baargaah me ye iltijaa ki – Aye mere Rab maine apne qaum me din-raat tablig ki, unhe haq ki daawat di lekin unn logo ne mujhe jhuthlaa diya aur kuch logo ke alaawa baaqiyo ne imaan nahi laaya, yahaa tak ki woh apne kuffar aur hathdharmi me hadd se jiyaada badh gaye, ab ye imaan nahi lane wale, ab inn ka faislaa tu hi kar.

Allah Ta’ala ne Nooh (Alaihay Salam) ko ek badi si lakdi ki naav (ship) apni nighebaani me tayyar karne ka huqm diya .

Allah Ta’ala kisi qaum par aise hi azaab naazil nahi karta, pehele woh uss qaum ki islaah ke liye nabiyo aur rasoolo ko bhejta hai, taaki woh rasool ya paigamber apni qaum ko daraaye aur khush-khabri bhi de, aur iss par bhi wo qaum na maane aur imaan na laaye aur apne gunaaho se toubah na kare toh fir azaab naazil karta hai taaki koi huzzat baqi na rahe.

Nooh (Alaihay Salam) peshe se badhayee (carpenter) the. unhone ek maidaan me naav banaana shuru kiya. unki qoum ke log aa kar mazaaq karte the aur kahete the ki bade miyaa paagal ho gaye ho, ret (sand) me naavo chalaavoge kya?

Jab naav banke tayyar ho gayee toh Allah Ta’ala ne huqm diya ki sab jaanwar aur parindo, aur jo log imaan laaye un sab ko naav me sawaar kar lo.

Hazrat Nooh (Alaihay Salam) pure jee-jaan se aur an-thak tarike se apni qaum ko deen ki daawat dete rahe. jab qoum ke kuch hi logo ne imaan laya, aur baqi hatdharam, ziddi, aur Nooh (Alaihay Salam) ko takleef dene wale aur unka mazaaq udaane wale rah gaye toh Nooh (Alaihay Salam) ne duwaa ki, “Aye mere Rab inn logo ne mujhe jhutlaa diya hai, ab tu hi meri madad farma”.

Tab Allah Ta’ala ne Nooh (Alaihay Salam) ki taraf wahee ki “Humari nigraani aur hidaayat ke mutaabiq kashti (naav) banaavo ! fir jab hamaara huqm aa jaaye aur tanoor ubalne lage toh har kisam ke jaanwar aur parindo ke jode se do (nar aur maada) iss me baitha lena aur apne gharwalo ko bhi (imaan walo ko).

Aur jin logo ne zulm kiya (kaafir) in ke baare me mujh se koi sawaal mat karna, kyonki woh sab paani me garq kar diye jaayege. aur fir tum aur jo tumhaare hamraah ho kashti (naav) me achchi tarha baith jaaye toh kehna “sab ta’areef Allah Ta’ala ke liye hai, jis ne hame zaalimo se nizaat di” aur ye bhi kehena “Mere Rab hume barqat waali jagaah par utaarna aur tu sab se behtar utaarne wala hai.”

Aur fir jab Nooh (Alaihay Salam) ne sab ko kashti par sawar kar liya toh zameen se paani ubalna shuru ho gaya aur tez muslaadhar baarish hone lagi. chaaro taraf paani hi paani ho gaya. kaafir apni jaan bachane ke liye unchi jagaho par jaane lage. ab Nooh (Alaihay Salam) ki kashti (naav) paani me upar uthne lagi. Nooh (Alaihay Salam) ne dekha ki unka kaafir beta pahaadi par ja rahaa hai toh Nooh (Alaihay Salam) ne use aawaaz di: “beta jaldi se naav me sawaar ho jaa”. uss ne jawwab diya, “mai pahaadi par ja rahaa hoon wahaa mai bach jawooga”. Nooh (Alaihay Salam) ne kahaa, “aaj koi nahi bachne wala”. aur unke dekhte hi dekhte ek unchi lahar uthi aur unke bete ko bahaa le gayee.

Nooh (Alaihay Salam) ne kahaa “Aye mere Rab mera beta mere apno me se hai.”

Variations on the Birth-Year of Prophet Nuh, Prophet Nuh's People - Idolaters, Various Hadith Describing the Origin of Idolatry, Prophet Nuh Commentary - Idolatry, Prophet Nuh's Reasoning with His People, Division Among Prophet Nuh's People, Prophet Nuh and The Disbelievers' Arguments, The Disbelievers Attempt to Bargain, The Disbelievers Remain Ignorant, Prophet Nuh's Appeal to His People, Prophet Nuh The Length of Noah's Preaching, Prophet Nuh Prays for the Disbeleivers' End,
#QuranicStories #QuraniQissa #IslamicStory #IslamiKahani #QuranicStory #IslamiWaqia #IslamicKahaniyan #MuslimKahani #ProphetStory #UrduIslamicKahani #IslamicStoriesinUrdu #QisasulAnbiya #AnbiyakiKahani #AnbiyakaQissa #AmbiyaKahani #AmbiyaQissa #QuranQissa #QuranStory #HazratNoohStory #hazratNooh #NoohWaqia #NoohQissa, #QissaHazratNooh #StoryProphetNooh #StoryIslam #IslamStory #HazratNoohStory #HazratNoohWaqia #HazratNoohQissa #QissaIslam #QisasulAmbiya #AmbiyakaQissa #HazratNooh #ProphetNooh #ProphetNoohStory #StoryProphetNooh #HazratNoohQissa #HazratNoohWaqia #HazratNoohStory #NoohStory #Prophet
#QisasulAnbiya #HazratNuh_Story #ProphetNuh_Story

show more

Share/Embed